Sunday, August 13, 2006

Ishwar Allah, tere jahaan main, nafrat kyun hai, jung hai kyun?
Tera dil to itna bada hai, insaan ka dil tang hai kyun?

Kadam kadam par sarhad kyun hai,
Saari zameen jo teri hai,
Suraj ke phere karti hai,
Phir kyun itni andheri hai,
Dil ke darwaazon par taale,
Taalon par yeh zang hai kyun.

Ishwar Allah, tere jahaan main, nafrat kyun hai, jung hai kyun?
Tera dil to itna bada hai, insaan ka dil tang hai kyun?

- Javed Akhtar, A R Rahman, Deepa Mehta (OST-1947 Earth)

1 comment:

Zeenat Rasheed said...

I did a performance piece on this song for my.. err.. Performance Studies class :P

I got an A :D