Thursday, March 16, 2006

Insaaniyat... Kahaan?

(Spoken through the voice of a helpless old man, at the hands of sword-wielding religious terrorists, who question his 'mazhab')

Agar hindu ho tum, to musalmaan samajh kar, maar daalo mujhe
Agar muslim ho tum, to hindu samajh kar, maar daalo mujhe,
Agar khoon karne se tumhaari pyaas mit ti hai, to maar daalo mujhe,
Agar tumhaara imaan ise insaaf kehlaata hai, to maar daalo mujhe,

Kabhi, apne wajood par ghuroor tha mujhe,
Kabhi, is insaaniyaat ka karta tha mein sammaan,
Abhi, ek tarah se dekho to mit chuka hoon main,
Ab insaaniyat hi nahin rahi, le lo tum meri jaan,

Kyun khade ho tum aise, uththaao apni talwaar,
Is andhe qaatil ko kardo, mere seene ke paar,
Banaado mujhe is jung-e-mazhab ka shikaar,
Isme tumhaari hi jeet hai, aur isme tumhaari hai haar.

Meri duniya ab tumhaari hui,
Mere anth se gale milaa rahe ho mujhe,
Mera mazhab hi mera gunaah ban gayi hai,
Aur maut hi bacha sakti hai mujhe

Yeh masoom bachchon ki cheekhein, nahin sun sakte hai yeh boodhe kaan,
Yeh vehshat nahin bardaash hoti, le lo tum meri jaan,

Mere dost, is gunehgaar par kar do yeh ehsaan,
Is zindagi ki qaid se azaad karo, le lo tum meri jaan,

Par khuda ke liye, ya bhagwaan ke liye,
yeh baat kabhi na bhoolna tum,

Aaj ke din, tumne jiski li hai jaan,

Woh na Gita padta tha, na padta tha Quraan,

Woh na hindu tha, na tha woh musalmaan,

Woh bilqul tumhaari tarah, tha …. ek insaan

- Vishal

No comments: