This time I've decided to add a smidgen of Gulzar's Angoor as well ... here goes... btw... my friend's name is Bharadwaj!
Start: B'waj's second interview at "Bahadur" Outsourcing (Deven Varma starting his own supari oursourcing firm, against Sanjeev Kumar's constant oppression)
Bahadur: Aao Bharadwaj aao. Bhaang piyoge?
B'waj: Kyun nahin? kyun nahin? ... KYA???
Bahadur: Kuch nahin. Tum IS AADMI ko jaante ho?
B'waj: uiii maaa, yeh to Thaakur hai.
Bahadur: Ramesh Sippy ke liye yeh Thaakur hoga ... lekin mere liye ... yeh mera jaani dushman hai ...
Bahadur: Inki khushi ki khaatir maine kya kya din dekhe. Prema ko Ekta Kapoor ke serials ka chakma deke, Ashok Babu ne use Bombay bhaga diya . Suna hai ke Zee TV ke kuch serials mein YUUN khadi dikhaai deti hai. Aur to aur - mera eklota grey kurta-white pajama ka set chori kar ke gayee. Ashok Babu jab jab khush hue hain ... main barbaad hua hoon ....
(B'waj offers tissue)
Bahadur: Lekin ab bahut ho gaya.
B'waj: par ... par .. par .... main to Investment Banking karna chahta hoon ....
Bahadur: arrey investment banking jaaye bhaad mein. yeh supaari ka dhanda
hai, supaari ka!
B'Waj: Arrey? pehle bhaang. phir supaari? yeh consulting company hai, ke
paan ki dukaan?
Bahadur: KHAMOSH! pehle mere ek gambhir savaal ka javaab do...
B'waj: poochiye?
Bahadur: tumhaare resume par thook kyun hai?
B'waj: Oiii maa. Ek hi copy thi mere paas.
No comments:
Post a Comment