Khayaal
Humaare khayaalon ke azaad parinde, jo aasmaano mein udte the,
Na jaane kaise, yeh duniya ke pinjron ko bardaash karne lage hain
Manzil ki khoj na karte the hum, bas udne ki thi ummeed,
Na jaane safar mein kab se, manzil ki talaash karne lage hain
Dhoondte the zindagi ki raahon par, pyaar bhare woh pal,
Dhoondte the zindagi ki raahon par, guzre hue woh kal
Us safar ki tanhai mein, ek humsafar ki thi ummeed,
Na jaane kyun, us humsafar ki chaahat mein mitne lage hain
Ubhar aaye mere woh sapne, jo barson se dabaaye hue the,
Na jaane kyun, woh khayaal mere bhi paraaye lagne lage hain
Aur woh harjai, jo beechch raste mein, haath chod gaya tha
Na jaane kyun, hum usi humsafar ka saath chaahte hain
Zindagi bhar woh saath nibhaane ke khwaab kyun dekhte hain ?
Jab yeh zindagi humaari, khud hamaara saath nibhaa nahin sakti ...
aadaab arz hai .......
vishal
No comments:
Post a Comment