Saturday, April 01, 2006

hai liye hathyaar dushman
taak mein baitha udhar
aur hum taiyaar hai
seena liye apna idhar
khoon se khelenge holi
gar watan mushkil mein hai
sarfaroshi ki tamanna
ab hamare dil mein hai

haath jinme mein ho junoon
katt te nahi talwaar se
sar jo uth jaate hai woh
jhukte nahi lalkaar se
haath jinme mein ho junoon
kat te nahi talwaar se
Aur bhadke ga
jo shola-sa hamare dil mein hai
sarfaroshi ki tamanna
ab hamare dil mein hai

hum to ghar se nikale hi the
baandh kar sar pe kafan
Jaan hatheli pe liye
lo bad chale hai yeh kadam
Jindagi to apni mehmaan
maut ki mehfil mein hai
sarfaroshi ki tamanna
ab hamare dil mein hai
Dil mein toofanon ki doli
aur nason mein inquilab
hosh dushman ke udadenge
hamein roko na aaj
dur rehpaaye jo humse
dum kahan manzil mein hai
sarfaroshi ki tamanna
ab hamare dil mein hai

sarfaroshi ki tamanna
ab hamare dil mein hai

No comments: